Kal raat Sapne me
Aap haste hue
Takte huye
Chand se Chehre ke
Didar dete huye, aaye the
Fir bhi mai bal bal bach gaya…
Achcha hai hum door-sudoor hai;
Mai aap ko dekhu;
Mai aapse milu; Utani bhi himmat nahi;
Lekin aap to hahahahahahah kar ke
Hasnewali Hasina ho;
Aur aap ko Dream-Girl ya Dream-Owl ban ker;
Mere sapnon me aane ke liye
Razamandi ki bhi zarurat nahi;
Dear Email-Priye !!!
Aap mere sapno me aa hi jati ho !!!
Achcha hai muze sapna hi aaya:
Sapne me aap aaye !!!
Achchha tha ki kewal sapana hi tha;
Is liye mai bal bal bach gaya !!!
Tab aap ne sapne ne me garjate kaha; barste kaha;
Aankho tararte kaha; lapkate kaha;
Aankho se dawanal, aag ugalte kaha;
Tatha apne thode se
Badhhe huye stomach per; Haath pasarte kaha:
Mere shaath shighrati-shighr
Shaadi karni hogi
Ab aapko mere haath me aana hi hoga
Aap bhale hi kaho: Mai ne kuchh nahi kiya
Hum to kewal email karte the…
Lekin dekhona:
Aap ne, uder per fir se haath pasarte kaha:
MUZE VOMIT BHI HO RAHI HAI.....
Mai ___ banne wali hun !!!
Ab to aap ko jivan bhar saath nibhana hi hoga
Mere haathon me aana hi hoga
Yadi aap nahi aaye to mai
Kiran Bediji ke paas jaungi;
Baad me aap muze ya
Aapke ek ya judwe ________ ko yad karte;
Aap ka shesh jivan Tihar ya
Bihar ki jail me kam-bhagya banega
To mere haath me aane me hi
Aap ka sadbhagya rahega
To kahoji: Mai Kiranji ke paas jaun;
Ya aap baarat lekar aate ho;
Ya jail-gaman karte ho….
Fir aap ne kaha; Suno:
Ab aap ko mai kuchh jyada moti lagugi
Kintu wada karti hun ki
Mai kabhi bhi na khoti banugi;
Fir aap ne aankh marte kaha:
Mai shaadi ke baad bhi
Aap ki vaisi hi Dost rahungi;
Aap ki hifazat karungi; Aap ko hani na hogi;
Aap ko manoshanti milegi; Man-mani bhi hogi;
Prem-parva ka faag khilega; Pareshani na hogi;
Rang-rag bhi hoga; Hairani na hogi;
Maine kaha: Mai manta hun ki
Aap meri bholibhali gharali banogi
Kintu achchhi mehngi hotelon me
Muze ghasitanewali;
Muze pyare pyare Email karnewali
Mai bhi aap par dilon-jaan se marta hun
Kintu email se ghar nahi chalta
Isi liye aaj kal ki maha-mandee me
Mai ek bar bhi shaadi karne se darta hun !!!
Sunte hi aap boukhla gayee, chillane laagi:
O muze idher udher bhatkanewale,
Muze shaadi ke pahile ___ bananewale
Bol shaadi karta hai ki nahi…..
Aap ne fir garjate huye chappal nikale…..
Maar khanewala hi tha mai:
Magar mai bal bal bach gaya !!!
ALARM ghadi baji aur mai bach gaya….
Jaagte huye maine dekha: Apne computer per
Jis per mai aapke Email ki rah takta tha;
Chatting karta tha;
Vah computer raat bhar chalu hi tha….
Use bandh kar ke mai so gaya;
Use bandh kar ke mai so gaya;
Stop Press: Thank God !!!
Fir aaj tak … Mai Baap banne se bach gaya;
Fir aaj tak … Mai Baap banne se bach gaya;
Fir aaj tak … Mai Baap banne se bach gaya;
Fir aaj tak … Mai Baap banne se bach gaya;